Tag: change

Hum Phir Desh Badlenge!

Me and my friends namely Chintan Malhotra, Jagmeet, Nick, Jai Singh , Angad and Ankita contributed to making a vedio. The script (words) are below in the form of a poem as written by me

Video concieved, directed and produced by Chintan ,Jagmeent and Nick under the banner of cinewire http://www.cinewire.in
Narrators: Jai Singh And Ankita Jawanda
Actors (In order of appearance):
Bittle Singh 
Tarun
Balraj Kaur
Jai Singh
(AAP supporters)
Written By: Manika Parasher

Watch the video at
http://cinewire.in/We_Rise_Again

or

https://www.youtube.com/watch?v=m8rXBUIht9U

10262194_460792440721127_8232911302973374743_n

(referring to mangal pandey)
1857 mein jab pehli baar koi khada hua
Ladne ko, bas bhidne ko Woh josh tha sarr pe chadha hua
Ghulaami ki zanjeeron ki pehli kadi todne wala
Tha ek aam aadmi , ek aam sipahi pehla kafn odhne wala

Jo chingaari usne chodi thi who bas sehma hua ek shola tha
Uss aam khoon ke katron ne ek khaas toofaan tatola tha
Aaj phir ek baar jung chidi hai humaari matrabhoomi ke seene par
Aaj phir ek adhere ka shikanja hai, humari saans humaare jeene par

(poor people and their economic and social deprivation)

Mujhe virasat me na sona na chaandi na note aur na jaydad mile
Bas kucch sikkon ki naukri aur ghar aangan barbaad mile
Bahot kamaya hoga tumne,jo Apne mehlon ko saja lia sangemarmar se
Par aaj bhi bhuk bimari lachaari berozgari aur maut ki aah aati hai mere jaise har ghar se

(crime against women)
Maine ladki hokar yahan janam lia , kya yehi mera kusoor hai
Main sarre bazaar beizzat hoti rahi, yeh tumhaari chuppi kaisa dastoor hai
Bahot imaartein bana li hongi tumne,par main aaj bhi ghar se nikalne se darti hun
Kabhi ghut ghut kar, kabhi cheekh chilla kar, kabhi gali kabhi ghar kabhi aag me marti hu

(rising prices of food water power and fuel for middle class)
Kisi tarah jaise taise khoon paseene ki kamai se ,ek ghar toh maine khada kia
Par bijli paani indhan ke daamo ne mujh jaiso ko toh sooli par chadha dia
Mere liye kia kya? Bas Ek doosre par ilzaam meri durgati ka tum lagaate rahe
Mera jeevan toh batt se battar hota raha , Mujhe toh usi narak me daudate rahe

(Corruption)
Sarkaari daftar kabhi galti se jo koi kaam mujhe aan pada
Toh bas mahine bhar ki kamai ka tumhari bhooki tijoriyon mein daan pada
Mere hakk , mere swaabhimaan, mere samman, ki boli lagti hai har guzarte pal
Phir kaahe ka jan hitt, kaahe ke sewak ho, kuch hai toh woh bas lalach aur chall

(Deprivation of right to education)
Hum ghar chalaate hai imaandari ki kamai se, yeh kya koi gunah hai?
Mera baccha ek acche school me nahi padh sakta , kyunki uske liye karodo chahiye suna hai
Arre yeh kaisa vikaas , kaunsa ujwal bhavishaya aur kaisi khokhli chadhaai
Jab humaare bacche toh zindagi shuru krne se bhi pehle ladd rahe apni hi ladai

(the plight of the farmers)
Gaur se dekho mere chehere ko, main laakhon me se ek chehra hu jo tumahara pet bharte hain
Kyu aaj bhi mere tan pe fate hue kapde, ghar me andhera aur kyu aaj bhi mere bhai marte hain
Socho main jo chod dun apne khet seenchna toh kahan se kya khaaoge
Chaahe jitna bhi uncha udd lo, zindagi bachaane toh yahin isi zameen par aaoge

(no jobs for educated youth)
Laakhon kharche apni degree par maine aur ab das hazaar ki naukri ke liye dar dar thokar kha raha hun
Ye kya bahot zada ya mere hakk se badhkar hai jo main chah raha hun
Mujhe neev kehte ho apne desh ki tum par main toh bas rul raha hun
Tumhaare tirange ka who hara rang hun jo dheere dheere dhul raha hun

Hum sab wo khaas log hain jinhe tum aam aadmi ke naam se jaante ho
Hum who bhi hain jinhe tum goonga behra bebas lachaar maante ho
Par agaah karte hain ki humne ab haithyar utha liye hain
Koi chaaku churi danda nahi bas himaat aur hausle buladh kiye hain

WE RISE AGAIN